Monday, January 1, 2024

Manpasand shadi

manpasand shadi aaj kay dor ka aik mash-hoor topic hay. yah topic kisi tareef ka mohtaj nahi hay. mukhtasir tor par hum kah saktay hein kah manpasand shadi ka matlab hay Love Marriage.

aik dor tha jab log sada zindagi guzartay thay aur sada ghizaein istimal kartay thay. us waqat problems bhi kam say kam thay. log aik dusray kay dukh dard mein shareek hotay thay. aik dusray kay kaam aatay thay.



phir waqat nay palta khaya aur jadeed dor kay samrat hasil honay lagay. machines ka istimal zayada honay laga, ghizaein walaiti ho gaein. is kay sath sath logo kay rawiye bhi tabdeel honay lagay.

mukhtasir baat karein to us dor mein baro ka dar khoaf hota tha. unchi awaz mein baat karna mayub samjha jata tha. larkiyan tou khair door ki baat hay, larkay bhi apni shadi ka taqaza nahi kar saktay thay.

aaj dor mukh-talif ho chuka hay. nafsa nafsi ka aalam hay. aik dor lagi hui hay jis mein har aik dusray ko peechay chorna chahta hay. aaj kay dor mein larkay tou aik taraf larkiyan bhi marzi kay khilaf shadi karna pasand nahi karti hein.



jadeed dor kay larkay aur larkiyan pasand kartay hein kah wo apni marzi say shadi karen. aam tor par larkay aur larkiyan taleemi dor mein hi aik dusray ko dil day beth-tay hein. us kay baad wo aik dusray say mohabbat karnay lagtay hein. yun jab un ki love story ka un kay ghar walo ko pata chalta hay tou aik tofan khara ho jata hay.

aam tor par khandano kay andar manpasand shadi ko qabool nahi kia jata. phir larkay aur larkiyan shadeed gham aur ghussay mein mub-tala ho kar koi ghalat qadam utha beth-tay hein.

yahi sab dekhtay huway Amil Online nay makhlooq ki bhalai ka bera uthaya. masoom bachay aur bachiyo ko un ka sacha piyar mil jay aur wo bhataknay na paein, bas yahi Sayyed Hassan Raza Kazmi sahab ka maqsad hay.



us kay liye Peer sahab kay paas na sir Amliyat O Taweezat hein, balkah kai aisay wazifay bhi hein jin say manpasand shadi ho jati hay. aap kay aur mahboob kay ghar walay razi ho jatay hein.

is maqsad kay liye mazeed dair mat kijiye aur aaj hi Amil Online say rabta kar kay apnay halat share kijiye. aur aaj hi uljhano say chutkara payie.

Husband Wife Relationship Problem

 Mian bivi ka rishta aik bohat hi muqaddas rishta hay. Is rishtay ko Allah Ta’la nay apni nishani karar diya hay. Mian aur bivi na sirf aik dusray kay dukh sukh kay sathi hotay hein balkah wo dono aik dusray ka libad hein. Mian bivi ko Quran mein aik dusray ka libaas kio kaha gaya hay? Kion kah libaas ka kaam insaan kay aibo ko chupana hota hay. Mian bivi bhi aik dusray ki buraiyan chupatay hein aik dusray ko cover kartay hein.



Lekin aaj kal aksar dekha gaya hay kah bohat dhoom dham say shadi hoti hay aur sharu mein dono aik dusray par mar mitay ja rahay hotay hein aur aik dusray say jeenay aur marnay ki qasmein khanay say nahi thaktay. Lekin shadi kay kuch salo baad differentiations peda honay sharu ho jatay hein. Yahan tak kah aksar to haatha pai par utar aatay hein. Phir baat barhti jati hay aur nateeja divorce par khatam hota hay.

Jee han yah hamaray muashray ki aksar gharon ki kahani hay. Is sab ki wajah kia hay aur is sab ka ilaj kia hay wo hum aaj is article mein discuss karnay ja rahay hein.

Darasal baat yah hay kah shaitan ko mian bivi kay rishtay say sakht nafrat hay. Kion kah shadi say insan ka deen mukamal hta hay. Insan shadi ki wajha say bohat si buraiyo say bach jata hay. Is wajha say shaitan ko is rishtay say sakhat nafrat hay. Ab hum husband wife relationship problem ki kuch wajuhat neechay biyan kartay hein.


1 – Shaitan nahi chahta kah mian bivi khush rahein

2 – Saas bahu kay jhagray jis mein nando ka kirdar prominent hota hay.

3 – Nazar e bad ki wajha say yah mslay kharay hotay hein

4 – Koi dushman kala ilm karwa deta hay

5 – Khandan mein koi hasadi insan khush nahi dekh sakta tow sazishen sharu kar deta hay

6 – Shohar ki zindagi mein koi aur larki ka kirdar ho sakta hay

7 – Bivi ki zindagi mein kisi aur mard ka kirdar ho sakta hay




Husband wife problem solution

Ab baat kartay hein is maslay kay solution ki. Tow solution wohi ho ga jaisa kay problem ho ga. Is ko hum tarteeb kay sath neechay darj kar rahay hein.

1 – Shaitan nahi chahta kah mian bivi khush rahein

Koshish kar kay pancho namazen aada karen. Aur zayada say zayada sadqa dein.

2 – Saas bahu kay jhagray jis mein nando ka kirdar prominent hota hay.

Maan baap ko chahiye kanwari ya bewa ya talaq yafta betiyo ki jald say jald shadiyan karwa dein. Agar aisa fori mumkin nahi tow mian aur bivi alag ho jaein.

3 – Nazar e bad ki wajha say yah mslay kharay hotay hein

Nazar e bad ka ilaj karwaein. Us kay liye Amil Online say rabta karen.

4 – Koi dushman kala ilm karwa deta hay

Kalay ilm ki diagnosing karwaein aur us ka tor karin.

5 – Khandan mein koi hasadi insan khush nahi dekh sakta tow sazishen sharu kar deta hay

Apna muahsba karein apnay aas paas kay logo ko check karein. Kisi ko apnay ghar aur zati muamlat mein dakhal ki ijazat na dein.

6 – Shohar ki zindagi mein koi aur larki ka kirdar ho sakta hay

Amil Online say rabta karen.

7 – Bivi ki zindagi mein kisi aur mard ka kirdar ho sakta hay

Amil Online say rabta karen.

Kala Jadu Ka Tor

Aziz dosto aaj mein jis mozu par baat karnay wala hon wo hay kala jadu aur kala jadu ka tor. Yah post aap kay liye bohat informative ho sakti hay is liye bara e karam is ko aakhir tak zarur parhiye.



Kala jadu bunyadi tor par kia hay. Kia yah waqi wajud rakhta hay. Aaj kay taraki yafta dor mein jab internet mojud hay, zameeni faslay simat chukay hein, aur har taraf machines par kaam ho raha hay to kia hum kaisay yaqeen kar lein kah kala jadu koi wajud rakhta hay.

Agar yah baat sach hay to mujhay aap say puchna paray ga kah kia aap Quran ki sachai par yaqeen rakhtay hein? Kio kah quran mein kai jagha par kalay jadu ka zikar kia gaya hay. Jaisa kah sora Al-Baqarah mein haroot aur maroot kay sath kalay jadu ka zikar hay. Phir Hazrat Suleman A.S kay qissay mein kalay jadu, jinnat aur rohani aloom ka zikar kia gaya hay.



Agar aap hamaray piyaray nabi (PBUH) ki zindagi kay mutaliq jantay hein to aap jantay hon gy kah hamaray piyaray nabi Muhammad (PBUH) por bhi jadu kia gaya tha. Aik yahudi aurat nay un par jadu kia tha tab sorat Al-Nas aur sorat Al-falaq nazil hui thein.

To yah sab batein jantay huway hamein yaqeen hona chahiye kah kala jadu waqi mein wajud rakhta hay. Aur yah kabhi kabhi itna shadeed aur takatwar hota hay kah kisi insan ki zindagi barbad kar sakta hay. Yah siyah ko safaid aur safaid ko siyah kar sakta hay. Kalay jadu kay zariye logo ko apna ghulam banaya ja sakta hay. Aur kalay jadu kay zariye kisi ko mout kay ghat bhi utara ja sakta hay.



Khair hamein zayada details mein nahi jana, is waqat hamara maqsad sirf itna hay kah agar aap ko zindagi mein kuch unusual mahsoos ho raha hay. Ya zindagi mein achanak koi nagative change aaya hay. Ya musalsal koshish kay baad bhi aap apnay maqsad mein kamyab nai ho rahay, musalal bimar rahtay hein, preshan rahtay hein, be-chain rahtay hein, ya kisi kaam mein dil nahi lagta to maloom kijiye kahin kisi nay aap par kala jadu to nahi kia hay.

Jee han yah baat bohat serious hay. Kala jadu aik haqeeqat hay aur is haqeeqat say inkar karna aisay hi hay jaisay billi ko dekh kar kabootar ankhein band kar leta hay.

Manpasand shadi

manpasand shadi aaj kay dor ka aik mash-hoor topic hay. yah topic kisi tareef ka mohtaj nahi hay. mukhtasir tor par hum kah saktay hein kah ...