Aziz dosto aaj mein jis mozu par baat karnay wala
hon wo hay kala jadu aur kala jadu ka tor. Yah post aap kay liye bohat
informative ho sakti hay is liye bara e karam is ko aakhir tak zarur parhiye.
Kala jadu bunyadi tor par kia hay. Kia yah waqi
wajud rakhta hay. Aaj kay taraki yafta dor mein jab internet mojud hay, zameeni
faslay simat chukay hein, aur har taraf machines par kaam ho raha hay to kia
hum kaisay yaqeen kar lein kah kala jadu koi wajud rakhta hay.
Agar yah baat sach hay to mujhay aap say puchna
paray ga kah kia aap Quran ki sachai par yaqeen rakhtay hein? Kio kah quran
mein kai jagha par kalay jadu ka zikar kia gaya hay. Jaisa kah sora Al-Baqarah
mein haroot aur maroot kay sath kalay jadu ka zikar hay. Phir Hazrat Suleman
A.S kay qissay mein kalay jadu, jinnat aur rohani aloom ka zikar kia gaya hay.
Agar aap hamaray piyaray nabi (PBUH) ki zindagi
kay mutaliq jantay hein to aap jantay hon gy kah hamaray piyaray nabi Muhammad
(PBUH) por bhi jadu kia gaya tha. Aik yahudi aurat nay un par jadu kia tha tab
sorat Al-Nas aur sorat Al-falaq nazil hui thein.
To yah sab batein jantay huway hamein yaqeen hona
chahiye kah kala jadu waqi mein wajud rakhta hay. Aur yah kabhi kabhi itna
shadeed aur takatwar hota hay kah kisi insan ki zindagi barbad kar sakta hay.
Yah siyah ko safaid aur safaid ko siyah kar sakta hay. Kalay jadu kay zariye
logo ko apna ghulam banaya ja sakta hay. Aur kalay jadu kay zariye kisi ko mout
kay ghat bhi utara ja sakta hay.
Khair hamein zayada details mein nahi jana, is
waqat hamara maqsad sirf itna hay kah agar aap ko zindagi mein kuch unusual
mahsoos ho raha hay. Ya zindagi mein achanak koi nagative change aaya hay. Ya
musalsal koshish kay baad bhi aap apnay maqsad mein kamyab nai ho rahay,
musalal bimar rahtay hein, preshan rahtay hein, be-chain rahtay hein, ya kisi
kaam mein dil nahi lagta to maloom kijiye kahin kisi nay aap par kala jadu to
nahi kia hay.
Jee han yah baat bohat serious hay. Kala jadu aik
haqeeqat hay aur is haqeeqat say inkar karna aisay hi hay jaisay billi ko dekh
kar kabootar ankhein band kar leta hay.



No comments:
Post a Comment